Monday, November 5, 2007

Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,
Zindagi se hara hua hai,
Par "Bugs" se haar nahi maanta,
Apne application ki ek ek line isey rati hui hai,
par aaj kaun se rang ke moje pehne hain, ye nahi jaanta,

Din par din ek excel file banata ja raha hai
Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,

Das hazaar line ke code main error dhoond lete hain lekin,
Majboor dost ki ankhon ki nami dikhayi nahi deti,
PC pe hazaar windows khuli hain,
Par dil ki khidki pe koi dastak sunayi nahi deti,

Satuday-Sunday nahata nahi, week days ko naha raha hai,
Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,

Coding karte karte pata hi nahi chala,
Bugs ki priority kab maa-baap se high ho gayi,
Kitabon mein gulab rakhne wala , cigerette ke dhuyen mein kho gaya,
Dil ki zameen se armaanon ki vidayi ho gayi,

Weekends pe daroo peke jo jashn mana raha hai,
Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,

Maze lena ho toh isse pooch lo,
"Salary Increment" ki party kab dila rahe ho,
Hansi udana ho to pooch lo,
"Onsite" kab ja rahe ho?


Wo dekho onsite se laute team-mate ki chocolates kha raha hai,
Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,

Kharche badh rahe hain,
Baal kam ho rahe hain,
KRA ki date aati nahi,
Income Tax ke sitam ho rahe hain,

Lo phir se bus choot gayi, Auto se aa raha hai,
Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,

Pizza gale se nahi utarta,
Toh "Coke" ke sahare nigal liya jata hai,
Office ki "Thali" dekh munh hai bigadta,
Maa ke hath ka wo khana baar baar yaad aata hai,


"Sprout bhel" bani hai phir bhi, free "Evening Snacks" kha raha hai,
Wo dekho ek Software engineer ja raha hai,

Aapne ab tak lee hongi bahut si chutikiya,
Software engg. ke jivan ka sach batati ye aakhri kuch panktiyan,

Hazaron ki tankhwah wala, company ki karodon ki jeb bharta hai,
Software engg. wahi ban sakta hai, jo lohe ka jigar rakhta hai,


Hum log jee jee ke marte hain, zindagi hai kuch aisi,
Ek fauj ki naukri, doosri software engg. ki, dono ek jaisi,
Is kavita ka har shabd mere dil ki gehrayi se aa raha hai,
Wo dekho ek Software engineer ja raha hai.

0 comments: